Norges billigste bøker

Bøker av Ram Singh

Filter
Filter
Sorter etterSorter Populære
  • av Ram Singh
    190,-

    "kabil" ek aise naujawan shiva ki kahani hai jo bharat ke door daraaj gaon men rahtaa hai jahaan moolbhoot suvidhaaon kaa abhav hai, jiskaa bachpan ghor gareebee men beettaa hai . uske maataa-pitaa ko apnaa pariwaar chalaane ke liye pashuon ke gobar se nikle hue anaaj ko khaakar bhee apne bachchon kaa palan posan karnaa padtaa hai. skool men bhee vah shixak ke ati kathor vywhaar ko bardaast karte hue aage badhtaa hai. vaheen shixak ke vywhaar se dukhee hokar kaee chhaatr padhaaee chhod dete hainb par vah himmat naheen haarta aur antath 12 veen kee pareexaa men apne skool men pratham ataa hai. wah shahar padhne jaataa hai.pitaa kaa sapnaa hai ki unkaa beta padh likh kar kisee kalej men profesar bane par uskaa sapnaa hai ki wah lo kee padhaaee kar nyaayaadheesh bane. shahar jaane se pahale uske pitaa hidaayten dete hain ki wah eemaandaaree se apnee padhaaee par dhyan de aur apnaa man kisee ladkee ke prem-jaal men n bhatkaay. par vah shivaanee se pyaar kar baithtaa hai aur usse shaadee karnaa chaahtaa hai. kyaa shivaa shivaanee se shaadee kar paaygaa? kyaa shiva law kee padhaaee kar nyaayaadheesh ban paaegaa? yah jaanne kie liye padhen lekhak kaa chhathwaan upanyaas "kaabil".

  • av Ram Singh
    175,-

    "Sangini" ek mahila sainik adhikari jaya ki prem aur sangharsh ki kahani hai. Uska jeevan khushhal aur aanandmay hota hai tabhi achanak usaka yuwa pati kaiptan Ajay singh Rana kashmir men pakistani aanankwadiyon se ladte hue shaheed ho jaataa hai. Is dardnaak ghatna ke baavjood bhi J aya bharteey sena men adhikaaree banane kaa faisalaa letee hai aur senaa men ek adhikaaree ke roop me niyukt hotee hai . pariwaar ke sabhee sadasy chaahte hain ki vah punah vivaah kar le par wah shaadee se inikaar kar detee hai. Use sanyukt raashtr shaanti mishan men kaary karne kaa maukaa miltaa hai . usee darmiyaan uskee mulaakaat ek bharteey sainy adhikaaree Mejar Chanadran Nair se hotee hai aur uske andar naaree sulabh prem bhaavanaa jaag jaatee hai . Mejar Chandran Nair Jayaa se shaadee karnaa chaahte hain par unkee maa ko yah sweekar naheen hai. fir shuroo hotaa hai sandharsh aapsee riston kaa. kyaa Mejar Chandran Nair maan kee ichchhaa ke virudh Jayaa ko apnee patnee sweekaar kar paaenge? kyaa Jayaa unkee maan kaa dil jeet paaegee? in sawaalon kaa javaab paathkon ko sangini men padhne ko milegaa.

  • av Ram Singh
    175,-

    kamine dost desh ke un karodon chhaatron kee kahani hai jinke maataa-pitaa apane bachchon ki chhupee pratibhaa ka aakalan nahee kar paate aur apane sapano ko pooraa karane ke liye un par dabaav daalte hain. kaee baar hataash hokar unhe apane haal par chhod dete hain. yah kahaanee ek aise chhatr kee kahaanee hai jise bachapan me usake shikshak pitaa ne mandbudhi kaa tamagaa de diyaa thaa kyonki wah aath saal kaa hone ke baavjood bhee skool nahee jaataa thaa par usakee maa ko pooraa bharoshaa thaa ki usakaa betaa jaroor padhegaa aur ek din apane pitaa se bhee aage jaakar profesar banegaa. maa ke bharose aur pyaar ne bachche ke andar utsaah bhar diyaa aur wah pooree siddat ke saath lakshay ko haasil karane me jut gayaa. yah kahaanee kuchch aise hee chchaatron kee kahaanee hai jo banaaras hindoo university me saath saath padhe aur apane mukaam par pahunch gae. is upanyaas me chhaatr jeevan me aane waalee chunautiyon, lakshay haasil karane ki jid, samvedanaaon, jeevan ke uttar chadhaaw aur aapasee prrem kaa sajeev chitran hai yah kahaanee chchaatro ke liye preranaa shrot hai.

  • av Ram Singh
    175,-

    "Sima-Prahari" ek sainik ki prem katha hai- usake irade kji hausale ki aur safalata ke.kahani kanayak vijay apane pita ki ichchaa ke virudh sima surakhsha al me ek aam sainik ki trah bharti ho jata hai jabaki usajke pita use bhartiya se na me ek adhikari ke roop me dekhana chahate hai. usake vidroh ka karan hai- pita ka sakhat anushasan aur maa ka ati dulaar.bhaarat-bangladesh seemaa par vah ek ladaki roonaa ki ijjat lutane se bachaataahai aur usase he usepyaar ho jaataa hai. use banglaadesh seemaapar karaneka doshi payaa jaataa hai jabaki yah aparaadh usane kiyaa hee nahe. wah Roona se shaadee karanaa chaahataa hai par ek aap sainik hone ki vajah se use kai varshon tak sangharsh karnaa padataahai. Roona se uski shaadee mrig marichika ban jaatee hai. wah apane lakshy par safal hotaa hai ya nahee- yah kahaaneepadhkar paathak swaym jaan jaaenge.

  • av Ram Singh, Rohit Bansal & Nishant Kumar Gupta
    872,-

  • av Ram Singh, Dalip Kumar Bishnoi & Shiv Prakash
    714,-

  • av Ram Singh
    667,-

Gjør som tusenvis av andre bokelskere

Abonner på vårt nyhetsbrev og få rabatter og inspirasjon til din neste leseopplevelse.