Norges billigste bøker

Bøker av Sanjay (Edited By) Kundan

Filter
Filter
Sorter etterSorter Populære
  • av Sanjay (Edited By) Kundan
    175,-

    Samaj ke kamzor vyakti ke sanghasrh kaa chitran karti marmik kahaniyan. Kabr ki zamin (Jesintakerketta) me jab ek adivasi yuvti ke bachche ke kriya-karm ki baari aati hai, to dharm ke thekedaaruth khade hote hain...Gulabi Ration card (Vandana Shukla) me gharib adivasiyon ke ek gaon me ek din ghoshna hoti hai kiun sabko makaan diya jayega.Unke sapne pankh farfarane lagte hain.Lekin pata chalta hai ki makaanbanaane ki pariyojna par rok lag gayee hai.Uske baad jo hota hai, use dekh adhikaarion ke hosh udjaate hain....Koyla chor( Neeraj neer) me ek naujawan apni patni ke kahne par anya kayi doston ki tarah ekbekaar pade khadaan se koyla nikaalkar use bechne ke awaidh dhande me shamil hota hai, magar....Meena bazar (Vaibhav singh) ek adher salesman par hai, jo saari ke ek showroom me kaam karta hai.Showroom ke boodhe maalik ki maut ke baad uskaa ladka cctv camera lagwaa deta hai. Yeh camera,salesman ki zindgi me toofaan macha deta hai... gyaarah udiymaan kathakaar-Jesinta kerketta,kamlesh, Vandana shukla, Neeraj neer, Vaibhav singh, Hari mridul, Yusuf kirmani, Alok kumarmishra, Vijay kumar tiwary, Dr. Ayesh Aarfin, Ram nagina maurya-Jinki kahaniyon kaa chayan kiyaahai kavi, kathakar, natakkaar aur anuvadak Sanjay kundan ne.

Gjør som tusenvis av andre bokelskere

Abonner på vårt nyhetsbrev og få rabatter og inspirasjon til din neste leseopplevelse.