Om Apradhchakra / अपराधचक्र
"Apradhchakra" ka arth hai - desh ke niyam aur kanoon ke vipreet kaary karte hye aise bhanwarjal men fans jana jiski parinati arthik,mansik,sharirik aur samajik xati hoti hjai. Apradhi ko antatah apne gunahon ki saja desh ke kanoon ke tahat bhugatni padti hai. Iske bavjood bhi insaan apradh karne se baj nahin ata hai . Vaise to is vishay ka dayara bahut vyapak hai par ham yahan sirf ek udaharan ke tour par un sattasin netaon, adhikariyon aur karmchariyon ka udaharan le sakte hain jo satta prapt h0ote hi satta ka durupy9o0g karte hue bhrash acharan men lipt ho jate hain aur tab shuru hota hai bhrashtachar ka apradhchakr. yah ek aisi praikriya hai jismen apradhi ek bar fans jay to us daldal se nikal pana mushkil ho jata hai aur wah dhansta hi chala jata hai. Antath iski parinati apradhi ko ek kashtsadhy nyayik prakriya se gujarana padta hai aur ghor mansik,sharirikl,arthik pareshaniyon ka samna karna padta hai aur pariwarik jeevan tahas nahas ho jtata hai. "Apradhchakr" aise he kahaniyon ka sangrah hai jo hamen jeevan men apradhik krityon se bachne ki sikh deta hai. Padhiye yah shandar kahni sangrah- "Apradhchakra"
Vis mer